Cherreads

Chapter 1 - Part 1 “Rota Raha… Par Har Pal Kuch Seekhta Gaya”

"Us subah main School ke liye late ho gaya tha. Dil bilkul nahi kar raha tha jaana… lekin ghar walon ne zor diya. Main ro pada, phir bhi mujhe School le jaya gaya.

Sach kahun to main isliye nahi jaana chahta tha, kyunki kaafi classes miss ho chuki thi. Mujhe darr lag raha tha — samajh nahi aayega, sab aage nikal chuke honge… aur shayad log hansenge bhi.

Jab mere father mujhe class tak le gaye, tab meri aankhon me aansu the. Main chup-chaap class ke ek kone me jaa kar khada ho gaya.

Wo meri zindagi ke sabse emotional palon me se ek tha.

Us waqt mujhe lag raha tha jaise sab mujhe dekh rahe hain… aur main akela hoon.

Socho… agar aap meri jagah hote, to kaisa feel karte?

Mujhe bahut bura lag raha tha. Mere kuch doston ne mera mazaak banaya.

Us din meri class teacher ne bhi keh diya, "itne bade ho kar bhi rote ho?"

Main us waqt sirf 11–12 saal ka tha… lekin us ek line ne mujhe andar se hila diya.

Us din mujhe laga — shayad ladke rote nahi hain.

Aur ek aur baat samajh aa gayi —

log hansne ke liye hamesha tayyar hote hain, par saath dene wale bahut kam hote hain.

Us din maine khud se ek vaada kiya —

ab main dobara aise nahi roonga.

Lekin sach ye bhi hai ki jo maine us din feel kiya… wo alag hi tha.

Dard bhi tha, sharm bhi thi… aur ek chhupa hua gussa bhi.

Usi din maine decide kar liya —

kal main kuch alag karunga… aisa ki log aaj wali baat bhool jaayen.

Main ghar aaya aur khud ko badalne ki sochne laga.

Maine apni body language par kaam karna shuru kiya.

Apni dress, apne baal, apne shoes… sab kuch theek karne laga.

Main chahta tha ki jab log mujhe dekhein, to unhe ek confident ladka dikhe.

Us raat main bas ek hi soch ke saath soya —

kal ka din alag hoga.

Aur phir…

agle din subah main poori tayyari ke saath School ke liye nikla.

Lekin…

jab main School pahucha… to jo hua, usne meri soch hi nahi, meri poori zindagi badal di…

aur wo cheez main kabhi bhool nahi paaya.

More Chapters