Bachpan tho bhot aacha gaya or masti bhi bhot ki par kisko kya pata tha yea khushi jada time ki nahi thi jab mai 5-6 saal ki thi tab meri dadi iss duniya mai nahi rahi . Or tabhi se sab badal gaya. Mujhe aabi bhi yaad hai jab dadi ki death hue thi tab meko bhot bhuk lagi thi or mummy ne meko maggie banake dee thi par jaldi jaldi mai mummy ne vo maggie dudh ke gung mai he bana dee thi . Or tab se he Mane dudh pina bund kar deya tha meko dudh se hick bathie gayi hai . Mai phele class mai top karte thi padhi mai sabse aachi thi par dadi ke jane ke baad mummy ko padhne ka time nahi milne laga or padhi mai week hoo gayi . Fir kya meri tuition laga dee par koi fayda nahi hua . Phele Mai top karti thi or aab tho bas passing mark se he pass hoti hu . Meri vo phele ki life bhot aachi thi jab meri dadi mere saath thi . Dadi ne hitu ko bhi uthna he pyar deya jitna meko deya tha . Hitu tab bhot choti thi . Or dadi ne meri bachpan ki photos ki album banake rakhi hai joo aaj mere pass hai kabhi Maan karta hai tho mai yusce dekhti hu or aapne vo purane din yaad karte hu . Vo din bhi bhot khas hua karte the jab mere dadi mere saath hua karti thi.
Aap soch rahay hunge hitu kon hai hitu meri badi bua ki ladki hai.
