Cherreads

UNTitled,Abhinav_Mishra_22791773906989

Abhinav_Mishra_2279
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
134
Views
Synopsis
Emotional
VIEW MORE

Chapter 1 - Meri zindagi ki kahani

Yah baat tab ki Hai jab Main 16 sal ka tha Main Apne Parivar ke sath Bahar ghumne gaya tha Ham log Jahan ghoom rahe the vahan per Maine Ek budhe aadami ko Mandir ke pass baithe dekha vah aadami bahut jyada dukhi lag raha tha main uske pass gaya maine usse poochha ki aapko kya hua hai to usne mere se bataya ki vah bahut hi Amir Ghar Se Hai Lekin Daulat ke lalach mein unke Bahu aur bete Ne unko Ghar Se Nikal Diya fir Maine unse poochha ki Ab aap kahan rahte Hain to unhone bahut Hi dukhi aur dard bhari awaaz mein yah jawab Diya ki Ab to Mera Sahara sirf yah Mandir aur mere Bholenath hai aur jab Main unse baat kar raha tha utne mein Meri Maa Ne awaaz lagai ki chalo chalna hai lekin mera man unko chhodkar jaane ka nahin tha kyunki mujhse unki halat Dekhi nahin ja rhi thi lekin Maa kay baar baar bulane per mere ko vahan Se Ja hi pada. Agle din mai fir whi us budhe aadmi say milne gaya lekin wo waha nhi the maine mandir kay pujari ji say pucha ki wo buddhe admi kaha hai lekin unhone nay jawab dete hue kaha ki unka nhi pata wo to bus kabhi kabhi aa jate the mai ye sun kay hairaan hogaya kyuki unhone nay mere say bola tha ki wo yhi is mandir may rehte hai fir mai mandir ki seedhiyo say neeche utar raha tha ki tabhi mereko safed kapde pehne fate purane jute kay saath whi budhe admi dikhe maine unka chup chaap peecha ki aur peecha krte krte maine dekha ki wo ek koi choti si basti kay andar ja rhe hai mai bhi unke peeche nikal pada fir maine dekha ki wo ek chote say tute hue ghar may apna sab samaan rakh kar kuch kha rhe the mai unke paas gaya aur unhone nay mere say pucha ki beta tum yaha kaise aa gaye maine unke sawaal ka jawab na de kar unse pucha ki ap to mandir may rehte the to yaha kyuu aa gaye unhone nay bataya ki mandir kay pujari nay mujhe waha say bhaga dia ye bol kay ki yaha bheekh nhi maang skte isiliye mai waha say bina kuch bole chala aya. Fir maine unse bola ki tab aap khana kaha khate honge unhone has kay bola ki jab bhole baba ki marzi hoti hai tab khana mil hi jata hai nhi to logo ka bacha hua khana hi kha leta hu yeh sunke mereko bahut hi bura laga fir maine unki madad kuch paise deke krne ki sochi lekin ab mai 16 saal ka baccha kaha say itne paise de pata isiliye mai turant ghar gaya waha say chup chaap paise le kar aaya aur wo buddhe baba ko paise dia aur unse bola ki ap ab kisi ka bacha hua khana nhi khaenge wo buddhe baba rote rote mereko bole ki beta is duniya may apne hi jab saath nhi die tab tum aaye jo ki mereko jante bhi nhi ho maine bola ki ye sab baatein mat kriye bus ab aap kisi ka chodha khana nhi khaenge aur aisa maine roz kia lekin ek din...