Kisi bhi sadhan ya karya ko vyavasthit thha niyamit roop se karne ke liye kuch vishesh kathano ya niyamo ka paalan karna Aaosyak hota hai. Brahmacharya bina niyam ke Adhoora mana jata hai. Brahmacharya ek sabd hi nhi hai apitu apne aap me ek bahut hi mahatvapurn saadhan hai. Prachinkaal me saadhu, muni aadi apne aap ko vyaosthit roop se tapasya me lagane ke liye brahmacharya ka paalan karte the. Jaisa ki maine pahle chapter me brahmacharya ki Sampurn paribhasha tatha Uske laabho ke bare mein bataya tha. Vyakti ke Umra aur avastha ke badhane ke Saath Saath usme Parivartan Hota rahata Hai Jaisa ki hame pata hai ki Parivartan Sansar ka Niyam hai Parivartan Hamesha anishchit Roop Se Hota rahata Hai manushya mein bhi Parivartan Hota rehta hai. Balyavastha se kishoravastha tatha kishoravastha se yuvavastha thha yuvavastha se vridhavastha in parivartano ke saath saath manushya ko Apne Me badlaav pratit Hota Hai. In badlav ko niyantrit karne ke liye tatha apne aap ko Dharmik tatha Bhagwan ke Prati Bhakti Bhav rakhne ke liye brahmcharya avashyak. Brahmcharya Ek chaabhi ke Saman hai jisse Ham apni ladkiyo, vichaaro, bhaavo ko vas me rakh sakte hai. Brahmcharya ka Palan Keval vairagya hokar hi nhi apitu sansarik hokar bhi kar sakte hai. Iske liye Kuchh Vishesh Niyam hai.
13 SE 18 UMRA KE LIYE BRAHMACHARY KA PAALAN
Balko me 13 se 18 ki aayu me Harmon's Parivartan Hota Hai. Yah esi avastha hoti hai Jab vah balyavastha se kishoravastha Ke Pravesh karta hai jisse uske andar bahut se Parivartan Hota Hai Jaise uska man swabhavik Roop se chidchida ho jata hai uske andar virya ka Nirman hone lagta hai uska sanchay karne ke liye tatha uska Sahi upyog karne ke liye brahmcharya avashyak Hota Hai.lske Niyam hai
1,, subah 5:00 PM tak uthna anivaary hai tha uthkar sabse pehle bhumi arthath prithvi ke charan spersh kare.
2,, Uske bad kam se kam Aadha litre ya ek litre Pani piye tatha Uske baad kam se kam 100 kadam paidal chale.
3,, uske baad sauch jaye aur pavitra hone ke liye snaan aadi kare.
4,, snaan Karke 30 minut Tak vyayam karna anivarya hai. Jisme dand baithak, taadasan, pushups maarna, sarpasan, anulom vilom aadi kare.
5,, 14vars ki aayu me night fall yaani swapndosh bhi hota hai use niyantrit karne ke liye keegal vyayam aavashyak hai.
6,, vyayam karke aap 30 minute tak padmaashan me baithkar dhyan avsy kare.
7,, uske baad yadi aap student hai to apni dincharya me lag sakte hai.
8,, brahmacharya me bhakti bhi aavsyak hai uske liye aap iswar ka naam jaise Radha, Ram, krishna, hari aadi aapko jo bhi priye hai vo naam aap jap sakte hai japne ka time kam se kam 20 minute hona chahiye.
9,, brahmacharya ke paalan me yon sanyam ati mahatvapurn hai isliye aapko hastmaithun, galat aachran aadi kadachit nhi karna hai kyonki brahmacharya brahm ka maarg hota hai isliye aapko in aacharano ka tyag karna padega.
"Dhanyavaad "
"Radhe Radhe "🙏🙏
