Cherreads

sachha pyaar

Arti_Singh_9641
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
75
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - Do jism ek jaan

Ye baat hai tab ki jab mai 10 saal ki thi...aur wo 11 saal ka tha....

2020....June ka Mahina tha mai apne ghar ke bahar shaam ke samay khel rahi thi...aur wo market se apne Ghar Jaa Raha tha....

Tab mera ek doggy hua karta tha jo aaj nhin hai.....

Mai aur mere dada ji bahar the tabhi mera doggy...chain todkar bhaag jaata hai aur usse wo sadak per jaata hua ladka pakad kar le aata hai aur baandh deta hai ye sab dekh kar mere dada ji uss ladke se bahut khush hote hain aur uske bahaduri ki kaafi taareef karte hain.....kyunki ek dangerous doggy ko koi bahari Chhota ladka pakad le ye badi ashcharya ki baat hogi hi na.....

Wo ladka uss samay mujhe bahut dhyan se dekhta hai aur use mujhse pehli najar mein hi pyaar ho jaata hai....

Ab wo har samay ghar ke aamne saamne se jaate hue mujhe dekhta tha per mai usse nhin....kyunki sirf wo mujhe pasand karta tha na mai to nhin...wo humesha mere baare mein sochta tha aur mujhe paana chahta tha....

Wo mere gaanv ka hi ladka tha....

Usne ye mujhe dekhkar hi tay kar liya tha ki uski jindagi mein koi ladki aayegi to wo sirf mai.....aur wo jiyega to mere saath aur marrega bhi to mere saath wo sochta tha ki agar mai usse na mili to wo mere shadi ke din mrr jayega....wo bhagwan se bhi humesha mujhe hi maangta tha....

Mai usse mili nhin thi per wo mere liye loyal rehta tha...kabhi kisi ladki ki or najar uthakar bhi nhin dekhta tha....uske dil mein bss yahi tha ki ya to mai ya fir koi nhin....

Socho....jo insaan Bina mile hi kisi ladki ko itna jyada ektarfa pyaar kar sakta hai to Milne ke baad wo kitna pyaar karta.....

Aise hi samay beet Raha tha wo mujhe humesha hi school ya fir kahin bhi aate jaate hue dekha karta aur mai uski taraf na dekhti isse usko bahut taklif bhi hoti thi per uske mnn mein ek ummid bhi thi ki shayad...

Mai kabhi na kabhi usse mil jaungi.....

Mere jindagi mein bhi koi ladka nhin tha mai bhi akele thi aur bss school ke doston ke saath khush aur mast rehti thi...mai kabhi kisi ladke ke taraf najar uthakar bhi nhin dekhti thi.... bss shayad yahi wajah thi ki mai uska pehla aur aakhiri pyaar ban chuki thi....wo chahta to mujhe saamne se aakar kabhi bhi bol sakta tha ki wo mujhse pyaar karta hai per wo darta tha...wo darta tha iss baat se ki kahin mai mana na kar dun....

Wo bss ye sochta tha ki kaise bhi karke wo apne dil ki baat mujhse keh de aur wo pyaar sabse chhupakar bhi rakhna chahta tha...

Uska bss ek khaas dost tha jo uske ektarfa pyaar ke baare mein jaanta tha.... Aur mere baare mein bhi thoda bahut jaanta tha kyunki uske dost ke dada ji mere dada ji ke ghanisth Mitra the...to uske dost ka mere Ghar aana jaana tha....

Uska dost usko mere baare mein btaya karta tha.....

Ab baat karte hain humare Milne ki toh....

2024 mein.....wo class 11th mein tha aur mai 9th mein 15 August 2024 mein wo mere school aaya tha aur usne mujhe dekha aur mere doston ko bhi toh.....usne meri ek friend ki I'd mein meri insta I'd dekhi.....

Waise to mai kabhi insta nhin chalati thi kyunki gharwalon ki permission nhin thi per doston ke liye maine insta install Kiya tha 15 August ko reels bnane ke liye...

aur ek din uska message aaya.....wo date thi 19 August.....Usne Mujhse baat Kiya aur btaya ki wo mujhse pyaar karta hai...maine usko saaf mana kar diya aur bola ki koi achhi ladki mil jayegi aapko....mai aapke layak nhin hun per wo ye sab sunkar bahut emotional ho gaya...maine usko samjhaya ki chalo friend ban jaate hain per ye sab nhin karna hai to usne bola ki friend nhin tumko apne ghar ki bahu bnana chahta hun apni patni bnana chahta hun....wo request kar raha tha baar baar...aur mai mana kar rahi thi kyunki hum ek gaanv ek caste ek hi gotra ke hain to humari shaadi to impossible hai...aur rahi baat parents ki toh...mere mummy papa bahut strict hain agar mere papa ko kabhi pata chalta ki mai kisi ladke se baat karti hun to wo mujhe jinda dafna dete....

Unhein unki ijjat se jyada kucch bhi pyaara nhin hai...maine usko sab kucchh btaya samjhaya per wo manne ke liye taiyar hi nhin tha usne bola ki mai sab kuchh sambhal lunga tum bss saath dena mera...aur mai sab kucchh puri duniya se chhupakar rakhunga mummy papa ki ijjat per aanch nhin aane dunga tum chinta mat karo bss ek baar Haan bol do...

To aage kya hua ye jaanne ke liye mujhse Jude rahein agle part mein aage ki kahani aapko milegi Jo aur bhi jyada intresting hogi...

Dhanyawad...🙏