Cherreads

Apni kismat badalne wali ladki

DaoisttKFmlR
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
53
Views
Synopsis
यह कहानी आराध्या नाम की एक साधारण गाँव की लड़की की है, जो सीमित संसाधनों और सामाजिक बंधनों के बीच अपने बड़े सपनों को संजोए हुए है। जहाँ उसके आसपास की दुनिया यह मानती है कि लड़कियों की जिंदगी घर और जिम्मेदारियों तक सीमित होती है, वहीं आराध्या अपनी पहचान बनाने का सपना देखती है। परिवार की आर्थिक कठिनाइयों, समाज के तानों और आत्म-संदेह के बावजूद, वह शिक्षा को अपना सबसे बड़ा हथियार बनाती है। रातों की मेहनत, संघर्ष और अटूट विश्वास के साथ वह हर चुनौती का सामना करती है। एक अवसर उसके जीवन की दिशा बदल देता है — और वह समझ जाती है कि किस्मत इंतजार करने से नहीं, बल्कि उसे बदलने की हिम्मत रखने से बनती है। आराध्या की यात्रा केवल उसकी व्यक्तिगत सफलता की कहानी नहीं है, बल्कि यह उन सभी लड़कियों के लिए प्रेरणा है जो अपने सपनों को साकार करना चाहती हैं। यह कहानी साबित करती है कि साहस, मेहनत और आत्मविश्वास से कोई भी अपनी तकदीर खुद लिख सकता है।
VIEW MORE

Chapter 1 - Apni kismat badalne vali ladki

Maharashtra ke ek chote se gaon me ek ladki rahti thi jiska naam Aradhya tha jo ki chote se parivar se aati thi jisme uske pita ek Kishan the unka naam Gopal tha aur uski maa thi jiska naam Mira tha vo Ghar sambhalti thi baas teen logo ka parivar tha phir bhi unka aarthik stithi sahi nahi thi vo bahut garib the lekin ek chij unke pariwar me shi tha vo log acha soch vale aadmi the un logo ka soch uss jamane ke soch se alag tha vo log dusre ka bura nahi sochate the vo Dil se bahut amor the...

Us gaon ke logo ki soch alag thi unhe lagta tha ki ladkiyan sirf Ghar ka kaam karna chahiye uss gaon me ladkion ke sapne ko itna mahatv nahi diya jata tha ladkiyon ke padhai par dhyan nahi diya jata tha.

Lekin Aradhya bachpan se alag soch ki ladki thi jo ye sochti thi ki kya vo nahi kar sakti Jo ladke kar sakte hain aur yahi soch usse ek motivation deta tha jab gaon ki ladkiyan khelti thi tab vo hamesha aasman me dekh kar yahi sochti ki "kya meri jindagi bhi ayse hi rahegi ? Kya meri jindagi bhi inke tarah sirf khelne kudne me gujar jaygi yaa ? Kya me kuch bada nahi kar sakti?" Bass yahin se suru hoti hai Aradhya ki kahani asli jindagi ki kahani!!

Aradhya ko padhi acha lagta tha . Kitabo me use apne sapne dikhai deta tha kitabo use bahut prem ho gya tha use kitabo hi uski duniya dikhai deti thi vo duniya jahana mehnat ki koi sema nahi hoti..

"Ek din Aradhya ne apni maa se kaha ki maa mujhe age padhai karna hai "

Uski maa ne muskurate hue kaha " ki beti padhai karna achi chij hai lekin agge chal kar tumhe Ghar hi sambhalna hai"

Aradhya chup rahi"lekin uske sapne chup nahi rahe uske sapne safal hone ka pura mann bana liya tha" !!

Sangharsh ki suruaat 📈

Jyesa ki path me bataya gya ki Aradhya padhne me bahut achi thi to..

Uska dimak bahut teej tha!

Dhere-dhere samay betta gya aur Aradhya badi hoti gyi aur uske saath-saath uska dimak bhi badhta gya. Aur uske gaon me uski padhai ki bahut tarif hone lagi, lekin log phir bhi yahi kahte the ki -" ladki hai , jyada padhkar kya karegi akhir me ise Ghar hi sambhalna hai"

Aur uske pita bhi yahi sochte the ki jaldi se uski Saadi kar di jaye jis se jimmedaari kam ho jaye aur vo ache ladke talash karne lage the..

Yah sunkar Aradhya ke mann me tuffan uthata hai lekin vo kuch nahi kar sakti thi kyunki uske saath koi nahi tha..

Usne Sangharsh karna nahi choda aur jab log raat ko so jate the tab laltein jala kar aur padhai karti thi kabhi kabhi uske ankhe band hone lagta tha lekin uska sapna itna bada tha ki use sone nahi deta tha..

Use pata tha ki - agar usne Sangharsh karna chod diya to log uske saath kya karenge aur uske saath kya hoga ye samaj taye karega"!!..