Cherreads

Chapter 1 - Meri zindagi ki sabse badi galti !!!!!

Thode din baad kuch Aisa ho jata h jo shayad bhagwan ko bhi manjoor tha ....

Us ladke ke father ki death hone k baad vo Puri tarah se tut gya tha uske pass sirf uska ek lauta Sahara uski maa thi jiske liye vo jee rha tha varna usne to ek time ke liya soch liya tha ki uske jine ki vajah bhi khatam ho gayi h to ab vo ji kr kya hi karta lekin uski ek aakhiri ummid uski maa ne use jine ke umang jagati phir bhi vah nirash rehta tha....

Sari Ghar ki jimmedari uske khando par aa gayi thi usne apne maa ke liye apne school tak ko tyag diya phir vo apni maa ke sath apne nanihal chala gya .....

Aise hi kuch mahine bit jate h tabhi ek aur din aaya jo uski life ko Puri tarah barbad kr diya...

Jab vo jungle me ladki kaat kar la rha tha tab use vahi jagah Nazar aati jo uske papa ki death se pahle aati thi vo us jagah ke pass Jane ki koshish karta h lekin uski maa ne use rok liya aur Ghar le gayi....

Saari raat vo usi jagah ke baare me sochta rha aur aise usne kyi din bita diye .....

Ek din jab uski koi kaam se gaav se bahar gayi tab usne us jagah Jane ki sochi aur vo us jagah ke liye apne Ghar se nikal gya .....

Us jagah pohochne ke baad ho hua vo dekh kr uski aankhen fati ki fati rh gayi.....

More Chapters