Yah kahani ek Saumya Naam ki ladki ki Hai jo karrban 19 saal ki thi ek Raat wo Apne birthday ke liye cake Lene ja rahi thi vah uski friend ke sath ja rahi thi cake Lene aur FIR tabhi hi vahan per ek ped tha Saumya waha ruk gai uski friend ne usse puchha kya hua saumya Saumya kuch nahi boli FIR vah donon vahan se chale gaye fir adhi raat ko saumya so rahi thi tabhi usse kuch ajeeb laga jaise ki use Koi bula raha ho Saumya fir se wahi ped ke pass khadi rah gai tabhi usse kuch ajeeb sa lagne laga or vo fir se ghar Chali gai fir agali subah main uthi to uska sar dard ho raha tha use ajeeb sa feel hone laga vah niche nashta karne gai tabhi uski mummy ne usse puchha Saumya ye tere gale main kya hai Saumya ghabrate hue usne bataya ki uski friend ne yah use Diya Hai gift uski mummy ne usse kaha Saumya nasta kar le Saumya boli mujhe ye nhi khana uski mummy ne pucha ki kya hua beta us ne kaha mujhe cake khana hai us ki mummy ne kaha ki beta fridge main rakha hai cake vah kha le Saumya boli nhi main ye wala cake nhi khaungi fir us ki mummy ne bola ki tere papa ko call kar ke bata de vah le ayege Saumya boli nhi cake main lene jaungi us ki mummy ne kaha sham ko Tere papa aaenge to lekar a jaenge cake tu kahin nahin jayegi Saumya boli main hi jaaungi cake Lene vahi wali dukaan per uski mummy ne kaha thik hai jaa jaldi ana Saumya chali gyi wo vahi ped ke pass Beth gai sham ho gai vah ghar nhi gai uski mummy ne use call Kiya par usne call nhi uthaya fir uski mummy ne uski friend ko call kiya or boli Saumya tere ghar aayi hai Saumya ki friend ne kaha nhi anti vo to yaha nhi ayi fir fir Saumya ki mummy boli ki vo subh se cake Lene gai hai abhi tak wapas nhi ayi Saumya ki friend ne pucha ki anti wo apko kuch bata kar gai hai fir Saumya ki mummy boli han usne kaha ki vah kal jaha se cake layi thi vahi cake Lene gai hai fir uski mummy ne kaha ki beta tu mere sath use dhund ne chal fir vah dono Saumya ko dhund ne gaye Saumya wahi bethi thi uski mummy or uski friend use ghar laye fir Saumya ki mummy ne Saumya ke papa ko call kiya or vah ghar aye fir Saumya ki mummy ne Saumya ke papa ko sari baat batai tabhi Saumya boli main sone Jaa rahi hu itna kah ke vah waha se chali gyi or woh chhat par Chali gayi or vaha se niche kud gai uski cheekh ki awaaz sunkar uske mummy papa vahan Aaye niche fir dekha to Saumya ki death ho gai thi fir agle din unhone ek baba ko bulaya or puja ki puja ke doraan pata chala ki us par jin ka saya tha or agle hi din Saumya ki mummy ko saumya ke rone ki awaaz ayi Saumya ki mummy uth gai Saumya ki mummy ne Saumya ke papa ko bataya ki Saumya ki rane ki awaaz aa rahi hai fir agle din unhone vah makaan khali kar diya or aj bhi Saumya ki aatma waha ked hai
