Cherreads

Udaan...Ek Safar

AnjumStories
7
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 7 chs / week.
--
NOT RATINGS
176
Views
Synopsis
Nayi Shuruaat ek choti si khani hai jo umeed,dosti or phle kadam ki himmat ko dikhati hai. ye batati hai ki har nayi Shuruaat ek nayi udaan ka rasta hoti hai.
VIEW MORE

Chapter 1 - chapter 1 : Nayi shuruaat

Kamre mein bethi woh ladki chup-chaap soch mein doobi hui thi.

Uske mann mein kai sawaal chal rahe the—

kya use woh milega jo woh chahti hai,

kya woh kar paayegi jo usne socha hai.

Shuru-shuru mein uske andar bhi bahut se sawaal the.

Un sawaalon ko lekar woh aksar khud mein hi gum rehti thi.

Sawaal chahe jaise bhi hon,

woh ladki hamesha thodi dari-si, sahmi-si rehti thi,

kyunki woh thak chuki thi—

har cheez se,

har uss umeed se jo woh dusron se laga baithti thi.

Woh umeed lagati thi,

par har baar sirf toot jaati thi.

Ek pal ko uski nazar kamre mein rakhe gamlon par padi.

Ek gamle ke phool murjha chuke the,

aur doosre gamle mein taaze, khushboo se bhare phool khile hue the.

Unhe dekh kar woh sochne lagi—

agar usne abhi se haar maan li,

toh woh kabhi apne liye kuch nahi kar paayegi.

Usi pal uske andar phir se ek umeed jagi—

ek nayi udaan bharne ki umeed.

Magar is baar umeed kisi aur se nahi thi,

balki khud se thi.

Is udaan mein woh haaregi nahi,

kyunki uski umeed,

uska hausla

aur uski himmat—

sab kuch woh khud hi thi.

The End