Cherreads

Chapter 1 - After life.......

" I am dead, just like that! " - kartik ne mann hi mann socha, uski nazre abhi bhi uske samne bethe hue insaan par hi tiki hui thi, wo is waqt jahan khada tha, vo Koi mamuli jagah nahi thi, uss kamre ka koi aakar ya sima nhi thi, woh ek andhera kamra tha jiske andar bas dhuaan (fogg) bhara hua toh jo uske ghutno ko chhu raha tha.....

" Toh batao kya kehna chahte ho " - uske saamne bethe hue insaan ne kartik se puchha, kartik ne halke se apna sir upar kiya or us insaan ko dekha, bina koi expression, uss insaan ki body kisi kaale saaye( shadow) ki tarah thi, na toh koi chehra na koi rang, or kartik ne halke se bola....

" Kehne ke liye kuch bacha ho toh bolu " 

ISS par samne betha insaan halke se hass diya - " haha ! Sahi hai sahi hai! Lagta hai ki tum apni maut se khush nhi ho? ".....

Kartik ne parihasya se halki se muskaan dekar kaha - " main toh apni zindagi se bhi khush nhi tha "...

Kartik bachpan se hi bimaar bachha tha, usse Dil ki bimaari thi, jiske kaaran bachpan se hi uska jyadatar waqt hospital ya bed par Gujarta, uska bahar jana, ghoomna ya khelna bhi mana tha, isi wajah se veh kabhi bhi apni zindagi khulkar nhi jee paya aur keval 17 saal ki umar main hi heart attack se uski maut ho gayi....

Samne betha insaan phir se hasa, zaahir hai ki vo bhi iss baat se anjaan nhi tha, kyuki voh khud koi mamuli insaan nhi tha, par asal main ek celestial entity tha, jo timeline or space ko control or maintain krta tha.....

" You're not good are you? " - kartik ne halke se kaha! .

" No I'm not" - samne bethe insaan ne kaha!

" Toh phir ab mera kya hoga " kartik ne pucha.

" Kuch nahi " usne bola! 

" Toh phir mujhse kuch chahiye? " Kartik ne pucha phirse!

 Saamne betha insaan halke se hasa aur bola - " mujhe tumse kuch chahiye nahi balki tumhe kuch Dena chahta hun! "....

Kartik thoda sa chaunka aur usne pucha - " dena chahte ho par kya? "....

" Wahi jo tum hamesha se chahte the" - saamne bethe insaan ne kaha! 

' kya " - kartik ne pucha!

" Ek achhi zindagi " - saamne bethe insaan ne kaha..

" Lekin main toh mar gaya hoon na ? " - kartik ne halki se pareshani ke sath kaha!.

Saamne betha insaan halke se phir hasa aur bola - " uski chinta tum mat karo, main tumhe dusri duniya mein bhej sakta hun ya phir koi nayi bana sakta hun jaisi tum chahte ho"...

" Lekin tum mere liye Aisa kyu karoge " - kartik ne pucha! 

" Not for you ! I'm doing this for myself" - saamne bethe insaan ne kaha.....

" Kaise? " - kartik ne hairani se pucha! 

Woh hasa aur usne bola - " main yaha par sadiyo se betha - betha pak chuka hun, isiliye main chahta hun ki tum mujhe entertain Karo apni zindagi se ".....

Kartik ne hairani dikhate hue pucha - " Kya ".....

Abhi bhi haste hue usne kaha - " jaise tum log tv dekhte ho main tumhari zindagi dekhunga toh mujhe bore mat Krna dhyaan rakhna ki tumhari zindagi dekhne mein mazedaar ho warna main tumhe phir se maar dunga".....

Kartik ne gehri saans lekar kaha - " Sach main?".

Usne kaha - " haan sach main! "..

Kartik ne kaha - " thik hai ! Mujhe manjoor hai "...

Usne hass kar kaha - " bahut badiya ". ....

Aur phir usne apni chutki bajayi jisse, kamre ka dhuaan kartik ke pass ikattha hone laga aur usse lipat gaya jisse kartik ki ankhon ke aage Andhera chha gaya...

to be continue 

thanks for reading the chapter....

the story will start from next chapter....

More Chapters