Cherreads

Chapter 1 - Merii Zindgi ki Kahani

Main koi hero nahi tha… na mere paas paisa tha, na kismat.

Bas ek dil tha jo sapne dekhna jaanta tha.

Zindagi ne mujhe har mod par giraaya, logon ne thukraya…

Magar ek sapna tha – apni izzat, apni mohabbat aur apni pehchaan paana.

Ye meri kahani hai… ek gareeb larkay ki jo sapne lekar paida hua aur dard lekar bada hua.

Kya kismat badlegi? Kya mohabbat mujhe apnaye gi?

Ya phir main bas ek be-naam kahani ban kar reh jaunga?

Raat ke 2 baj rahe the.

Main chhat par lete aasmaan dekh raha tha.

Bijli gayi hui thi, hawa bhi nahi chal rahi thi.

Sirf chand tha… aur main.

"Ya Allah," maine dheere se kaha,

"Bas ek din meri bhi zindagi badal dena. Log mujhe gareeb keh ke neecha dikhate hain.

Main sabit karna chahta hoon ke gareeb ka sapna bhi sach ho sakta hai."

Meri maa kamre ke ander soti thi, jahan ek purana pankha bhi mushkil se ghoomta tha.

Mujhe neend nahi aati thi… kyunki zindagi ke bojh ne mujhe sapne dekhne bhi mushkil kar diye the.

Main Malik Naeem hoon.

Ye meri zindagi ki asli kahani hai… jo shayad tum jaise kisi aur ke dil ko bhi chhoo le.

More Chapters