Cherreads

forgot the promise

Chapter 9: Bhool Gaya Vachan

Ubaidkk aankh kholta hai — lekin saamne koi futuristic ya horror jagah nahi thi…

Balki ek gulli-mohalla jaisa scene tha.

Ek bench pe wo baitha hua… kapdon ka style bhi retro — jaise 2010 ke aaspaas ka Pakistan ho.

Peeche se awaaz aayi:

"Aray Ubaid, tu phir late aaya! Jo-woon kab se tera intezar kar rahi hai!"

Ubaidkk confused: "Main? Yahaan? Yeh kya... Mirzapur aur Doraemon ka mix chal raha hai kya?"

Tabhi ek ladki, simple shalwar kameez mein, uski taraf doodh ka glass le kar aayi —

"Ubaid, pehle yeh doodh pi… phir chal promise yaad dilati hoon."

Ubaidkk ne aankhein chhoti ki, "Jo-woon? Tu toh classy Korean thi… ab desi dulhan ban gayi?"

Kim ne aankhein ghumayi,

"Yeh teri yaadon ki duniya hai… main wohi hoon, bas teri nazar se dekho toh."

Ubaidkk has ke bola,

"Toh matlab, meri memory ne tujhe drama heroine se Desi milk girl bana diya?"

Kim ne uski taraf takkar maari,

"Haan, aur agar tune vachan bhool gaya toh main teri cycle ki hawa bhi nikaal dungi!"

Ubaidkk ne haath jod liya,

"Rehem! Bata de kya vachan tha?"

Kim ne uske kaan ke paas jaake emotional andaaz mein kaha:

"Tu ne mujhe wada kiya tha… tu mujhe kabhi bhoolega nahi… aur tu hamesha saaya ban ke mera saath dega."

Ubaidkk thoda emotional ho gaya,

"Lekin main toh toothpaste bhi bhool jaata hoon, yeh yaad kaise rakhta?"

Tabhi ek awaaz aayi — Jinroh apne old school teacher look mein aagaya:

"Agar vachan yaad nahi, toh punishment milega… 100 baar Kim ka naam likh ke do."

Ubaidkk:

"Arey sir! Aap toh horror villain the… ab PT teacher ban gaye?"

Jinroh:

"Yeh yaadon ki duniya hai… aur yahan sab kuch possible hai."

Kim hassi,

"Chalo… tu likh. Tab tak main tere liye time-travel chai bana ke laati hoon."

Ubaidkk diary uthaata hai…

Aur likhta hai:

"Main, Ubaidkk, Jo-woon ko dobara kabhi nahi bhoolunga…

Na past mein… na present mein… na future mein."

---

More Chapters