Aasman par gehre-seyah[charcoal-black] badal chaaye huye thy. Bahar ka sara manzar abhi-abhi hoyi thandi barish ke paani se bheega hua tha, aur durr kahin badalon ki ot se aik dhundli si koos-e-qaza [rainbow] apni rangat bikher rahi thi. Subah ke 10:17 baj rahe thy. The Vision High School - Co-education [40 students: 24 male, 16 females] ke 2nd floor ki class 12th-grade I.C.S. (Yellow Section) ki Urdu ki class chal rahi thi.
Ma'am Hina class ke samne khari apna 3rd lecture parha rahi thi.
Issi class mein 4th row ki 6th column mein bilkul window ke saath walay bench par aik student wahan baazu par sar rakhe gehri neend mein soya hua tha.
"Bachon, aap sab apni apni Urdu ki kitaabein nikalein aur safah number 10 kholein," Ma'am Hina ne narmi se ailan kiya. "Aaj hum Maqsad-e-Insaaniyat parhein ge."
itne mein ma'am ki nazar uss soye hoye student par parti hain, ma'am wahin khari uss student ko thori unchi awaaz mein uthaty hoye. "Akram... uth jao. Akram...! Akram...!!"
Uss ke saath walay bench pe baitha larka Akram ko kohnee Marty hoye "Oye Akram! uth jao, nahi tou maar paregi"
"Maa..." Akram ne neend mein burburaya, uski aawaz neend se bhujhli thi. "Maa! Main aaj school nahi jaunga. Soonein dein mujhy." Puri class mein halki si hansi goonj uthi.
"Khamosh, bachon," Ma'am Hina ne halka sa muskura kar "Aww, meray munne ko aaj school nahi jana?"
Unhon ne chalk ka aik chota sa tukra phenka jo seedha Akram ke sar par ja kar laga.
Akram aik jhatkay se uth baitha, aur harbara kar bolta. "Yes sir! Pakistan Zindabad!"
Puri class qehqahon se goonj uthi.
"Shhh... chup ho jao sab," Ma'am Hina ne daanttay huye kaha aur phir apna dehan Akram ki taraf kiya. "Akram, Aaj phir tum class ke duraan soo rahay ho! Aise kab tak chalega? Tum aik boht zaheen [intelligent] aur honhaar [brilliant] student ho, par pichle 3 4 din se tumhe ho kya gaya hai bachy? Lagta hai ab tumhari maa se baat karni hi paregi."
"Woh... Sorry ma'am," Akram ne apni aankhein malte huye position theek ki. "Raat ko der se soya tha, is liye neend puri nahi hui thi."
"Achha. achha! Theek Hai." Ma'am Hina ne aik mayoos-kun ahh bhari. "Chalo shahbash bachon. Sab apni Urdu ki kitab nikalo aur aaj ke mozoo ka pehla paragraph parho."
Akram ne bhi apni book kholi, gala saaf kiya aur buland aawaz mein parhne laga
"Har insaan iss dunya mein aik maqsad ke teht aata hain. Kai laug apna maqsad pura kar lete hain aur kai bas bewajah jee ke chale jaty hain. Insaan ko apni qismaat par bethe nahi rehna chahiye aur nah hi apni qismaat ke mutaliq kuchh bura bhala bolna chahiye. Balke, insaan ko chahiye ke goor-o-fikar karay aur koshish karay apni kismat ko badalne ki. kyun ke issi tarha woh apna maqsad jaan payega aur usse pura kar payega."
"Shabash Akram! Baith jao," Ma'am Hina ne tareef ki. "Ab iss paragraph ki tashreeh kon karega?"
Aik bacha haath khara karta aur tashree karne lag jata. Akram wapas apni jagah par Baith jata aur khamoshi se window se bahar seyah aasmaan ko dekhne lag jata.
Subah ke 10:40 bajay, break ki tez ghanti baji.
Akram wala column ki 1st row mein aik larka—Hamza, jo Akram ka sab se qareebi dost tha—chal kar uske desk ke paas aaya. "Han re jigar," Hamza ne uske kandhe par haath rakha. "canteen se kuchh khane-peene ko laatay hain."
Thori hi der baad, cheezein le kar dono school ke ground mein ek lakri ke bench par baith gaye aur apne packets kholne lage. Hamza ne shopper mein haath dala toh uska saman pura nahi tha.
"Ajeeb baat hai, meri soft-drink kahan gayi?" Hamza ne hairangi se dekha aur Akram ki taraf dekhte huye isharon se bola, "Ruk, main abhi wapas ja kar lata hoon."
Akram ne khamoshi se sar hila diya aur Hamza wapas canteen ki taraf daur para.
Abhi Hamza ko gaye chand hi lamhe guzre thy ke wahan kuch qadmon ki aahat hui. Saad aur uska gang—jo ussi class ke badmaash larky thy. Wahan aa dhamkay.
"Oye o-jahaaz! Tu khata bhi hai? Mujhy lga sirf peeta aur sota rehta hai" Saad ne aage barh kar tanziya andaz mein kaha.
Uske peechay khare doston ne ek sath kehka lagaya
Akram ignore karty hoye bola. "Aaj nahi Saad... mera mood nahi hai."
"Achha jee!" Saad ne aage barh kar apna bhari haath Akram ke kandhe par de mara. "Ab kya hum is jahaaz ke mood ke mutabiq chalenge? Samajhta kya hai tu apne aap ko? Teachers ka laadla aur class ka topper ban gaya hai tou ab hum par hukum chalayega aur attitude dikhayega? Chal bay hatt!"
Akram zoor se Saad ka haath apne kaandhe se hatta aur uss ki taraf dekha "I said not today! Get lost.. You Bastard!"
"Oh-ho! Humare topper-jahaaz ko angrezi bhi aati hai!" Saad ne apna haath sehlaya "Come on guys, let's go. Lagta hai jahaaz ke peene ka waqt ho gaya hai, iss liye ghussa dekha raha hai."
"Ha..haan... bilkul sa...hi kaha b...boss aap ne," uske peeche se ek larke ne haklate huye hami bhari. "Ch...cholo... iss ko."
Saad aur uska gang qehqahay lagate huye wahan se chalay gaye. Akram ne aik lambi aur gehri saans li; woh gussa achanak gehre gham mein badal gaya aur uski aankhon mein aansu aa gye.
"Bhai, yeh canteen wala bhi na ajeeb pagal hai," Hamza wapas aate huye bol raha tha, haath mein soft-drink thi. aur baithty hoye kehne lga "Pehle toh meri soft-drink kisi aur ko de di aur btane pe mann bhi nahi raha tha. Iss liye thori der ho gayi."
Hamza ne baat karte karte jaise hi Akram ki taraf dekha, Akram ki num aankhein dekh kar uska chehra fikar mein badal gaya. "Oye jigar! Yeh kya.. ek dam? Abhi tou main tumhein theek-thaak chhor kar gaya tha! Kisi ne kuchh kaha kya? Uss ki tou—"
"Kuchh nahi, jigar," Akram ne apne aansu chupane ki koshish ki aur halki aawaz mein kaha. "Bas... aise hi kuchh soch raha tha."
"Aisa kya soch rahe thy ke aik dam aankhon mein aansu aa gaye?" Hamza ki aawaz mein dard saaf jhalak raha tha. "Mujhse jhoot mat bol... kitni baar tujhe mana kiya hai ke uss maazi ke peechay mat bhaga kar jiska tumhein khud kuchh pata nahi? Yeh be-wajah ki overthinking kisi kaam ki nahi hai. Jo ho gaya, woh humare bas mein thaa hi nahi"
"Han, sahi keh rahe ho," Akram ne apni nigahein jhuka di. "Halanki mujhe kuch bhi saaf yaad nahi.. par na jaane kyun aisa mehsoos hota hai ke jaise main un lamhon mein jeya hua hoon. Jab bhi woh ehsas dil par dastak deta hai, aankhon mein aansu khud-ba-khud aa jaate hain. Baba ko gaye kitne saal ho gaye, par unki yaad aaj bhi rula deti hai. Kash mujhe kuch yaad hota... kash main jaan sakta ke aakhir hua kya tha?!"
"Yeh tou bas KHUDA hi behtar jaanta hai ke iske peechay kya sachai thi," Hamza ne aage barh kar apna haath Akram ke kandhe par rakh diya.
Usi lamhe break khatam hone ki lambi ghanti baj jati.
"Chal," Hamza ne uthte hoye kaha. "Ab hum kya kar sakty hain sab USS ZAAT aur waqt par chhor dou. Dekho, class ka waqt ho gaya hai aur aaj tou Sir.Haider ka computer ka test hai, woh kiya hai.?"
"Nahi... maine nahi kiya," Akram ne dheemi aawaz mein kaha.
"Chalo, koi baat nahi," Hamza ne dilasa dete hoye aik halki si muskaan di. "Apna mood theek karo. Mujhe pura yakeen hai ke ek din sab kuchh clear ho jayega. Itna mat socha karo, bas khush raha karo."
Akram ne apnay aansu saaf kiye aur halka sa muskura diya. "Shukriya jigar... for being all by my side!"
"Hahaha, chal ab sharminda mat kar," Hamza ne hans kar usse apne kaandhe se lgaya "You know! tum khush, tou main khush."
Dono aik dusre ke kandhon par haath rakhty hoye apni classroom mein chale jaty hain. Break ke baad 4th lecture shuru ho jata. Sir Haider ke computer test ke dauran jab unki nazar Akram par parti, tou unke chehre ke taassurat mein ek ajeeb si fikar aa jati hain.
Theek 40 minutes baad chhutti ki aakhri ghanti baj gayi.
School ke main-gate ke bahar, Hamza apni motorcycle ke paas khara tha aur Akram apni cycle ka tala khol raha tha.
"Yeh Friday ka din bhi na, alag hi sukoon deta hai!" Hamza ne helmet pehnte hoye kaha. "Han na jaldi chhutti hone ka apna hi maza hai."
"Sahi mein. Friday is a fun day," Akram ke labon par bhi muskaan aa gayi.
"Chalo theek hai jigar, kal milte hain. Aur haan, ab woh udaasi wali shakal mat banana, be happy!"
"Haan haan, theek hai boss," Akram hansty hoye.
"Good. That's my boy." Hamza tang karty hoye.
Akram ne upar aasmaan ki taraf dekha jahan badal abhi bhi gehre thy. "Aasman par badal boht hain, lagta hai phir se barish hone wali hai."
"Lagta tou hai. Dehan se jana cycle par, koi race ya harkat mat karna raste mein!"
"Hahaha, ok ok... Chal bye, take care!"
"You too, see ya!"
Dono apne apne raasto par nikal party. Akram ne abhi kuch hi fasla tay kiya tha ke achanak boondein girne lagin aur dekhte hi dekhte tez barish shuru ho gayi. Akram ne foran apni cycle bus stop ke shade ki taraf mori aur wahan khara ho kar barish ke rukne ka intezaar karne laga.
Wahan pehle se 4 log aur maujood thy—aik glasses pehna hua larka, ek larki jisne gale mein bright orange color ka muffler pehna hua tha, aur 2 uncle. Akram ne apni cycle ek taraf lagai aur chupchap larki ke thore faaslay par khara ho kar baarish dekhne laga. Barish ka yeh samaa dekh kar uska dil phir bhar aaya aur aansu uski aankh mein phir aagye
Ussi lamhe, wahan khare glasses wale larke ne aage barh kar halka sa apna haath Akram ke sar par rakha aur kuch seconds baad peeche kar liya. Akram apne khayalon ki dunya mein itna ghum tha ke usse uss ke chhone ka ehsas tk nah hua.
Paas khari larki ki nazar jab Akram par pari, tou pehle uski ankhon mein hairangi aayi, aur phir uske honthon par aik ajeeb si muskurahat tehr gayi—aik aisi muskurahat jismein na mukammal khushi thi aur na hi saaf gham, bas ek raaz sa chhuppa hua tha.
Kuch hi der mein barish tham gayi. Sab log apne raste chal diye. Akram ne bhi apni cycle uthai aur ghar ki taraf rawana ho gaya. Larki bus ka intezar karte hoye ab bhi Akram ko jaty hoye dekh rahi thi.
Akram ghar pohnch jata aur garage mein apni cycle khari karta aur wahan maujood sink se apni aankhein saaf karta. ---
